Hazrat Shah Vajihuddin Vali Gujarati (Rehmatullahi Ta’ala Alayhi)

*﷽-الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

📝 _*Is Post Me Padhe…*_

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

*✒”AAPKI MUKHTASAR SIRAT E PAAK”:-*

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

*~~~~~Urs Mubarak QUTB E GUJARAT USTAZUL HIND VAJIH E MILLAT E VADDIN HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH VAJIHUDDIN ALVI GUJARATI radiyallahu anhu (Urs :- 28, Muharramul Haraam, Mazar :- Ahmedabad Sharif, Gujarat)~~~~~*

*➡POST NO.1*

*💠HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH VAJIHUDDIN ALVI GUJARATI radiyallahu anhu Hindustan Ki Bahot Mash’hoor Ilmi Shakhsiyat Me He. Aap Husaini Saadat Me Se He. Aapke Valide Majid HAZRAT SAYYED NASRULLAH SAHAB radiyallahu anhu Bhi Bade Hi Bakamaal Aalim He. Aapne Apni Puri Zindagi Darso Tadris Aur Deen Ki Tablig Me Sarf Kardi. Aap GOUSUL WAQT HAZRAT SAYYEDNA MOHAMMED GOUS GWALIYARI radiyallahu anhu Ke Murid Aur Khalifa He.*

*💠 Aapne Kai Kitabe Likhi Aur Kai Arbi Kitabo Par Hashiye Bhi Likhe Aapki Likhi Kitabe Aur Aapke Fatwo Ke Samne Us Waqt Ke Tamam Ulma Apna Sar Jhukate The. Us Waqt Ke Tamam Ulma Ne Aapko “USTAZUL HIND” Ka Laqab Diya.*

*💠 Hum Gujarat Walo Ke Liye Aapse Nisbat Rakhne Wali Ek Fakhr Ki Baat Ye Bhi He Khud IMAME AHLE SUNNAT SAYYEDNA SARKAR AALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA KHAN FAAZILE BARELVI radiyallahu anhu Bhi Aapki Kitabo Se Nakl Farmate Aur Apni Kitabo Me Aapki Kitabo Ke Hawale Dete. Aur SARKAR E AALA HAZRAT radiyallahu anhu Ne Apni Kitabo Me Aapko Bahot Bade Aur Ilmi Alqab Se Yaad Farmaya He.*

*💠 Aapka Mazar Sharif Ahmedabad Ke Khanpur Me Mash’hoor He. Aapke Darbaar Par Goonge Aur Jo Log Sahi Tariqe Par Bol Nahi Paate Unko Shifa Milti He Ke Aapki Mubarak Chokhat Par Shakar Rakh Kar Chaat’te He To Unhe Shifa Milti He.*

*💠 Allah Ta’ala Se Dua He Ke SARKAR SHAH VAJIHUDDIN radiyallahu anhu Ke Sadqe Hume Bhi Ilme Din Sikh Kar Us Par Amal Karke Dusro Tak Pahochane Ki Tofik Ataa Farmae…(Aamin)*

*🌹”JO HOTA MAS’ALA ULJHA HUA FORAN HI SULJHATE,*
*HADISE MUSTAFA PADH KAR VAJIHUDDIN GUJARATI”.🌹*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

2 Replies to “Hazrat Shah Vajihuddin Vali Gujarati (Rehmatullahi Ta’ala Alayhi)”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *