Mubarak Naam aur Khitab: Aap ka Mubarak Naam “Saiyed Jalaluddin” hai. Aap “Shah Shaikh Jeeyu” ke khitab se mashoor hai.
🔸 Paidaish aur Taaleem: Aap Hazrat Nasiruddin Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ ) ke chauthe (4th) Farzand hai. Aap ki paidaish Asaval (Aaj ka Asarwa) Ahmedabad me Hijri San 853 Mutabik Isvi San 1449 me hui. Aap ne tamaam Jaahiri aur Baatini Uloom apne Waalid e Girami se hi haasil kiye aur Jaahir, Baatini Kamalaaton ke Jame’a hue. Aap apne Waalid e Buzurgvaar ke hi Murid aur Khalifa hue.
🔸 Baatini Faiz aur Khilafat: Jab Hazrat Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ko aap ki paidaish ki khabar mili to aap ne aap ke Farzand Nasiruddin Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ ) se farmaya.. “Bete khush ho jao ke aap ke yaha Jalaluddin Jahaaniya aaye hai”
Aap ko Khirka e Khilafat aap ke Haqiqi Chacha Hazrat Saiyed Sirajuddin Shah e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) se mila aur Hazrat Shah e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) se baatini Neamaten bhi nasib hui.
🔸 Aap ke Khulfa: Aap Saahib e Kashf o Karamat buzurg the aur apne Khandani buzurgo ki tarah Gauhar e Be-bahaa (Kimti Moti) the. Hazrat Qazi Mahmood Daryaai Birpuri (رحمتہ اللہ علیہ ) aur Hazrat Saiyed Taiyab (رحمتہ اللہ علیہ ) jin ke mazaraat Isanpur me hai, aapke khulfa the.
🔸 Visaal aur Mazar e Paak: Hazrat Taiyed (رحمتہ اللہ علیہ ) ka visaal 25 Rajab, Hijri San 967 me hua aur Hazrat Jalaluddin Shah Shaikh Jeeyu (رحمتہ اللہ علیہ ) ka vissal Hijri San 901 mutabik Isvi San 1490 me 68 baras ki Umr Mubarak me hua.
🔸 Vatva Sharif me Gumbad e Qutbiyah ke Saamne Masjid ke najdik aap ka Mazar e Paak hai. Sultan Bahadur Shah Zafar ko Gujarat ki Hukumat aap ki dua se haasil hui thi.
Hazrat Anas Bin Malik (رَّضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne Hadees Bayan ki ke Hazrat Abu Bakr Siddiq (رَّضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne unhe bataya, kaha:
“Jis Waqt Hum Ghaar me the, maine apne saron ki janib (Gaar ke upar) Mushrikeen (Kuffar e Makka) ke qadam dekhe. Maine Arz ki: “Allah ke Rasool! Agar In me se Kisi ne apne Pairon ki taraf Nazar ki to wo niche hume dekh lega.
Rasulullah (ﷺ) ne farmaya: “Abu Bakr! Tumhara Un do ke bare me kya Ghumaan (Khayal) hai Jin ke Sath Teesra Allah hai?“
Reference: Sahih Muslim Sharif (Hadees Number: 6169)
Mubarak Naam aur Qunniyat: Aap ka mubarak naam “Saiyed Mahmood” hai aur Qunniyat “Abul Hasan” aur “Nasiruddin” hai.
Laqab: Aap “Shah Budha” matlab ki “Bade Shah” aur “Dariyanaush” ke laqab se mashoor hai.
Khandan aur Pedaish: Aap Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ke pehle farzand hai. Aap ki Viladat e paak 23 Ramzanul Mubarak Hijri San 809, Mutabik Isvi San 1406 me Naharwala-Patan me hui. Aap ki Walida Majedah Bibi Sultan Khatun bahot hi Nek aur Parhezgar thi. Aap khud bahot hi paakizah aur Vali e Qamil shakhsiyat thi.
Taalem aur Khilafat: Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ne aap ke Waalid se hi Taleem aur Tarbiyat haasil ki aur sabhi tarah ke Jaahiri aur Baatini Uloom apne Waalid e Buzurug-vaar se hasil kiye. Aap ne apne Waalid se Izajat aur Khilafat hasil ki.
Halaat: Aap Zabardast Muttaki, Parhezgar aur Ba-sharah (Shariat ko majbooti se amal karne wale) buzurg the. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) apne daur ke “Qutub” the. Qutbiyat ka ye martaba aap ki khandani virasat thi jo aap ke aslaaf se chali aa rahi thi.
Visaal aur Mazar e Paak: 29 Zilqadah, Hijri San 882, Mutabik Isvi San 1477 me aap ne is faani dunya se parda farmaya. Aap ka Mazar e Paak, Vatva Sharif me hi, aap ke Waalid e Buzurgvaar Hazrat Qutb e Aalam Sarkar (رحمتہ اللہ علیہ ) ke paas Qibla rukh (North) hai.
Aulaad e Paak: Aap ke 5 farzand the:
Hazrat Shah Pyaran (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Zakir (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Sher Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Jalaluddin Shah Urf Shaikh Jeeyu (رحمتہ اللہ علیہ )
Part 10: Aap ka Visaalaur Mazaar e Paak (Aakhri Part)
Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) ne 68 Saal, 4 Mahine aur 24 Din ki Umr hasil kar ke 8 Jul-Hizzah Subah Sadiq ke waqt Hijri 858 Mutabik Eesvi San 1654 me Visaal Farmaya. Aap ka Mazar e Paak Vatva Sharif me Marz-e-Khalaiq hai.
Vatva Sharif, Paldi aur Suthuri Gaanv ki Aamdani Sultan ne Urs Sharif, Sajjadah aur Farzando ke liye Muqarrar ki hui thi. Aur “Saadat e Qutbiyah” (Aap ki Aulaad e Paak) Gaanv aap ki Mubarak Auladon ke liye supurd kiya gaya. Aaj tak ye Gaanv aap ki Aal aur Aulaado ke Ikhtiyar me hai.
Aap ke Aulad e Paak: Aap Kaseer-ul-Aulaad (Bahot sari Aulad wale) the. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ke 12 Sahabzade (Ladke) aur 17 Sahabzadiyan (Ladkiya) thi. Jin me se Sahabzado ke naam is tarah hai:
Hazrat Saiyed Naasiruddin Abul Hasan Makhdum Saiyed Mahmood Urf “Shah Budha” (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Muhammad Shah (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Ahmad Shah Budha (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Haamid (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Saaleh (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Bandagi Shah Aminullah (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Muhammad Zaahid (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Muhammad Asgar Urf “Shah Shaikh Muhammad” (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Muhammad Sadiq (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Muhammad Raju (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Muhammad Sirajuddin “Shah e Aalam” (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Ilmuddin (رحمتہ اللہ علیہ )
Hazrat Saiyed Ilmuddin (رحمتہ اللہ علیہ ) Bachpan Sharif me hi visal farma gaye the. Is liye aap ne apne Mehboob Khalifa Hazrat Saiyed Abdul Lateef (رحمتہ اللہ علیہ ), Jin ka Mazar e Paak Khan Sarwar (Patan) me hai, unhe apni 12 vi Aulaad keh kar pukara karte the.
Hazrat Sarkar Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) Ahmedabad (Gujarat) ke bahot hi Mashoor aur Ma’aruf Buzurg hasti hai. Aap ka Mazar e Poor Anwaar Marz e Khalaiq hai. Pareshan haal makhluq e Khuda aap se faizyaad hoti hai.
Aaiye hum sab mil kar dua karte hai ki Allah Ta’ala in Qamil Buzurg ke vasila e paak se hume Deen aur Dunya me Qamyabi ata farmaye. Aameen
Is post ke sath Hazrat Sarkar Qutb e Aalam ka mukhtasar Ta’aruf khtm hota hai.
In Sha Allah, aage ki post me aap ki Aulaad e Paak ke bare me hum jaan ne ki koshish karenge
Aap se bahut sari karamton ka zuhur hua, jis me se ek yaha Tabarruk ke taur par arz ki ja rahi hai.
Ek raat ko Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) Namaz e Tahajjud padh kar bahar tashrif laaye. Raat ki taariqi (andhera) bahot thi. Raaste me ek Paththar pada hua tha. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ko us paththar ki thokar lagi. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ne farmaya, “Paththar hai, Loha hai, Lakdi hai” . Jab aap (رحمتہ اللہ علیہ ) Fazar ki Namaz me dekha to us paththar me teeno chize maujud thi. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ne us paththar ko ek goshe (kone) me dafan karne ka Hukm diya. Aur farmaya, “Jo Shakhsh is paththar ko nikalega, uski Nasl nahi chalegi.”
Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ke Visaal Sharif ke baad ek Mureed ne us paththar ko nikal kar Manzar e Aam (Zaahir) kar diya aur khud ki Nasl ka khatma kar diya.
Ye Paththar aaj bhi Vatva Sharif (Ahmedabad) me maujood hai. Logo ke Hujum dar Hujum iski Ziyarat se Musharraf hote hai. Jab Badshah Akbar Delhi se Gujarat aaya to is paththar se ek Tukda apne sath Delhi le gaya.
Aage ki post me padhiye: “Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ka Visaal Sharif aur Mazaar e Paak”
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com
Team : Gulzar e Aulia
Reference: Twarikh e Numaya
Is post ko sawab ki niyat se share kare aur dusro tak pahuchaaye.
Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“.
Part 8: Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) Ka Qaseedah
🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷
Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) app khud ek shayar the.
Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne app ki shaan me ek behtarin Qaseedah likha aur Sharon ki tarah Adab se aap ki bargaah me hazir ho kar khade rah kar darbaar me is Qaseedah ko padha. Is sher ka ek Matla (Ashaar) kuch is tarah hai:
“Kutb e Zamaa Ma Burhan-ast Mara,
Burhan-e-Oo Hamesha Chun Namash Aashkara”
Qaseedah padhne ke baad Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne arz ki “Duaon ka Ummeedvar Hun”.
Aap ne irshad farmaya, “Aap ke khandaan ke liye mere Dada ne Dua farmayi hai”
Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne arz ki ke “Aap ke Dada ne Sultan ki Aulaad ke liye Saltanat ke liye dua farmayi thi. Aap bara e karam Is Shahar Ahmedabad ki Aabadi aur Maqbuliyat ke liye dua Farmaaye.
Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ne Irsha farmaya:
Aage ki post me padhiye: “Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ki Karamat”
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com
Team : Gulzar e Aulia
Reference: Twarikh e Numaya
Is post ko sawab ki niyat se share kare aur dusro tak pahuchaaye. Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai”. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye.
Huzur e Akram (Salallahu Alayhi Wasallam) Irshad farmate hai:
“Jumua ke din aur raat me chaubis (24) Ghante me koi Ghant Aisa nahi Jis me ALLAH Ta’ala Jahannum se Chhe (6) Lakh Aazad na Kara ho Jin pa Jahannum Wajib Ho Chuki Thi. “