✨ أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ ✨
⚡️ بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم ⚡️
👉 Is Post me Padhiye: ” Khatamu-Nabiyyin ﷺ Arab Sharif me hi Kyu? “
Agar hum Arab ko Kura-e-Zameen ke Nakshe par dekhe to iske Mahalle Vuqua se Yehi Ma’aloom hota hai ki Allah Ta’ala ne Mulk e Arab ko Asia, Europe aur Africa Teen (3) Barre Aazam ke Vast (Bich me) jagah di hai. Is se bakhoobi yeh samaj me aa sakta hai ki agar tamam dunya ki hidayat ke vasste ek Vaahid Markaz kaaim karne ke liye hum kisi jagah ka Intikhaab karna chaahe to Mulk e Arab hi is ke liye sab se zyada Maujoo aur Munasib Maqam hai.
Khusoosan Huzur Khatamunabiyyeen ﷺ ke zamane par najar kar ke hum keh sakte hai ki jab Africa aur Europe aur Asia ki teen badi badi Saltanto ka Ta’alluk Mulk e Arab se tha to zaahir hai ki Mulk e Arab se Uthne wali Aawaz ko In Barre Aazamo me pahuchaye jane ke Jarae ba-khoobi maujood the.
Gaaliban yehi woh hiqmate Ilayyhiyah hai ki Allah Ta’ala ne Huzur ﷺ Khatamunabiyyeen ﷺ ko Mulk e Arab me paida farmaya aur inko Aqwam e Aalam ki Hidayat ka kaam sipurd farmaya.
⏩ Aage ki Post me Padhiye: “Arab Sharif ki Siyasi Position aur Akhlaqi Halat”
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌
🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀
💕Is Post ko Sawab ki Niyyat se Dusro Tak Pahuchaye. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕