👑 Huzur Sarkar Gaus e Aazam (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ki ek Azeem Karamat padhiye 👑
✨ أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ ✨
⚡️ بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم ⚡️
Ek bar Sarkar e Baghdad Huzur Saiyidina Gaus e Paak (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) dariya ki taraf tashrif le gaye. Wahaa ek 90 Saal ki Budhiya ko dekha jo Zaar o Kataar Ro rahi thi. Ek Mureed ne Bargaah e Gausiya (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) me arz kiya, “Murshidi! Is Zaifa ka ek lauta Khoob-Roo Beta tha. Bechari ne uski shadi rachayi. Dulha Nikah kar ke Dulhan ko Isi dariya me Kashti ke zariye apne ghar la raha tha ki kashti Ulat gayi Aur Dulha Dulhan samet sari Baraat doob gayi. Is Waqiye ko aaj 12 Saal gujar chuke hai Magar Maa ka Jigar hai. Bechari ka Gham jata nahi hai. Ye Rozana yaha dariya par aati hai aur Baraat ko Na pa kar Ro-Dho kar chali jati hai. “
✨ Huzur E Gaus E Aazam (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ko us zaifa par bada taras aaya. Aap (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ne Allah Azzwajal ki Bargah me Hath Utha diye. Chand Minute tak kuch Zuhoor na hua. Betab ho kar Bargah e Ilahi Azzwajal me Arz ki, “Ya Allah Azzwajal! Is Qadar takhir ki kya wajah hai?” Irshad Hua, “Ae mere pyare! Ye Takhir Khilaf e Tabdil nahi hai. Hum Chahte to ek Hukum e “Kun” se tamam Zameen wa Aasman paida kar dete magar Ba-Muktaja-e-Hiqmat (6) deen me paida kiye. Baraat ko doobe hue 12 saal ho chuke hai. Ab Na wo kashti baki rahi hai Na hi Uski koi Sawari. Tamam Insaano ka Gosht wagairah bhi dariyai janwar kha chuke hai. Reze-reze ko Jism ke Aa’za me Ikaththa Karwa kar Dobara Zindagi ke Marhale me Dakhil Kar diya hai. Ab Unki Aamad ka Waqt hai. ” ✨
🌊 🌊 Abhi Ye Kalam Ikhtetam (Khatm) ko bhi Na pahucha tha ki Yaka-yak wah Kashti apne tamam-tar saazo samaan ke sath Ba-Maa (Sath) Dulha, Dulhan wa Barati Sath e Aab (Pani ke Upar) par Namudar ho gayi. Aur Chand hi Lamho me Kinare Aa lagi. Tamam Barati Sarkar e Baghdad (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) se Duayen le kar Khusi Khusi Apne Ghar pahuche. Is Karamat ko Sun kar Beshumar Kuffar ne Aa-Aa kar Saiyidina Gaus e Aazam (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ke Dast e Haqq Parast par Islam Qubul kiya.
💖 “Nikala hai Pehle to Dube Huo Ko, Aur ab Dubto ko Bacha Gaus e Aazam” (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) 💖
💕 Hazrat Saiyidina Shaikh Abdul Qadir Zilani (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) ki ye Karamat Is Qadar Tawatur ke sath Bayan ki gayi hai ke Sadiya Gujar jane ke bawazud Barr e Saghir Paak wa Hind ke goshe-goshe me iski Goonj sunai deti hai. (Alhamdulillah Azzwajal)
📚 Reference: Sultan-ul-Azkaar Fi Manaqib e Gaus ul Abarab 📚
✒️ Aa’la Hazrat, Imam e Ahle Sunnat As-Shah Maulana Ahmad Raza Khan (رحمتہ اللہ علیہ) se is Waqiye ki bare me Sawal Kiya gaya to aap (رحمتہ اللہ علیہ) ne Irshad Farmaya, “Agar-che (Ye Riwayat) nazar se Na Gujari, Magar Zubaan par Mashoor hai Aur is me Koi Amra (Kaam) Khilaf e Sharai (Shariat ke Khilaf) nahi, Is ka Inkar Na Kiya Jaye. 📗 (Fatawa Razawwiyah Jild 29, Safah 629)
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌
🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀
📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿
💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕