Dua e Anas Har Bala Aafat se Hifazat ke Liye

🌺 Har Bala Aafat Musibat se Hifazat ki Dua – Dua e Anas (رضى الله عنه) 🌺

💐 Hadees Sharif me hai ki Hazrat Anas Bin Maalik (رضى الله عنه) Masjid me Tashrif farma the. Kisi ne aa kar kaha ki “Aye Anas! Tumhara Makan Jal gaya hai. Hazrat Anas (رضى الله عنه) ne Farmaya ki “Nahi Jala”

💐 Fir Dusre Shakhsh ne Kaha ki “Tumhare Makan me Aag lag gayi hai”. Aap ne Farmaya ki “Nahi Lagi”

💐 Fir Thodi der baad Tisre Shakhsh ne Kaha ki “Tumhare Makaan me Aag lag gayi hai”. Aap ne Farmaya: “Aisa Nahi ho sakta. Kyu ki Maine wo Dua Subah ke Waqt padh li hai ki Muje Mere Nabi ( ﷺ ) ne sikhayi hai”

💐 Jab Aap Masjid se Faarig ho kar Apne Ghar gaye to kya dekha ki Pura Maholla Jal Chuka hai. Magar Aap ka Makaan Sahi Salamat hai. Aap ne Allah ka Shukar Ada kiya. (Reference: Riyazussaleheen)

💐 Jo Koi Is Dua Ko Subah ke Waqt Padhega Allah Ta’ala Use Shaam tak Apne Amaan me Rakhega. Aur Jo Koi Is Dua Ko Shaam ke Waqt padhega, Allah Ta’ala Use Subah tak Mahfooz rakhega.

Ye Dua “Dua e Anas” ke naam se Mashoor hai. Neez, Is Dua ko “Dua e Ashrafi” bhi kaha jata hai, Kyu ki Ashrafi Silsile ke karib karib tamaam Buzurg Is Dua ko Hamesha Subah-Shaam Padhte aaye hai. Wo dua ye hai…

🌺 Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💐 Haal hi me faili Corona Virus ki Waba se bachne ke liye Is dua ko Subah Shaam padhte rahe. IS WAZIFE/DUA KO SAWAB KI NIYAT SE DUSRO TAK PAHUCHAYE. ALLAH AAP KO ISKI BEHTARIN JAZA ATA FARMAYEGA. AAMEEN. 💐

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *