Part 2 URS MUBARAK SHAHENSHAH E GUJARAT HAM SHABIH E RASOOL MEHBOB E BAARI HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH E AALAM BUKHARI

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

👉🏼 Part 2: VAALIDA KE PET ME AAP KI KARAMAT KA ZUHOOR 👈🏼

✒️ HAZRAT KHWAJA SAFIYUDDIN JAAFAR BADR E AALAM ( رضى الله عنه) ‘Sad Hiqayat’ me Tehrir Farmate he ke: “Jab HAZRAT SIRAJUDDIN SHAH E AALAM BUKHARI ( رضى الله عنه) Apni Vaalida majida ke Shiqam (Pet) me the Aapki Vaalida HAZRAT BIBI AAMINA KHATOON (Rehmatullahi Ta’ala Anha) farmati he ke Ek Raat ka Waqia he ke HAZRAT BURHANUDDIN QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) Apne Takht par Jalwa Afroz the aur aap bhi Usi Takht par Apne Khandani Avraad o Wazaif me Mashgool thi.

✒️  Ittefaq se ek Dua padhne me Aapse Zabar Zer me Kuchh Galti hui. HAZRAT SAYYEDNA SHAH E AALAM ( رضى الله عنه) ne Apni Vaalida ke Shiqame Mubarak se Unko us Galti par Toka. Aapki Valida Farmati he ke Jab mene Us Aawaz ko Suna to Foran apni Galti ko Durust ko kar Liya aur Wazaif se Faarig hokar mene HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) se Puchha ke ‘Ye Aawaz aapki to Nahi thi Kyuki me aapki Aawaz ko Pehchanti hu to Phir ye Kiski Aawaz thi aur ye kon tha Jisne meri Galti par Mujhe Toka’ ?

✒️  HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) ne Tabassum Farma kar Irshad Farmaya ke: “Ye Aawaz Us Bachche ki he Jo Aapke Shiqam me he. Haq Ta’ala ne Us Bachche ko Uloome Avvalino Aakhirin batore Karamat Ataa Farmae he. – SubahanAllah

📚   Reference: (Hayate Shah e Aalam aur Sufiya e Gujarat) 📚

✒️ Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

Part 1 URS MUBARAK SHAHENSHAH E GUJARAT HAM SHABIH E RASOOL MEHBOB E BAARI HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH E AALAM BUKHARI

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

👉🏼 Part – 1: “NOORANI KHURMA AUR AAPKI PAIDAISH MUBARAK” 👈🏼

✨ Aapka Naam Mubarak “MUHAMMAD” He. Aapki Kunniyat “ABUL BARKAAT” Laqab “SIRAJUDDIN” aur Khitab “SHAH E AALAM” va “MEHBOOB E BAARI” He. Aap ke Valid e Mohtaram ka Naam “HAZRAT SAYYED ABU MOHAMMAD BURHANUDDIN ABDULLAH Al Mash’hoor QUTB E AALAM BUKHARI” he. Aapki Vaalida Majida ka Naam “MAKHDOOMA BIBI AAMINA SULTANA” He.( رضى الله عنه)

🌹 HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH E AALAM ( رضى الله عنه) ki Viladat Sharif se ek Saal Pehle ek Noorani Raat ka Waqia he ke Majlise Roohaniyat Qaim thi aur Rooe Zamin ke Tamam QUTUB Baargahe Risalat ﷺ me Hazir the. HUZUR E ANVAR ﷺ ne Az Raahe Inayat Un Tamam AQTAAB ke Majme par Nigaahe Paak Daali to Mulaheza Farmaya ke Aksar AQTAAB ke sath Unke Farzand bhi Moujud he, Lekin HAZRAT BURHANUDDIN QUTB E AALAM BUKHARI ( رضى الله عنه) Tanha (Akele) he.

🌹 HUZUR E AQDAS ﷺ ne Irshad farmaya ke “Ae Farzand! Tumhare Sath koi nahi he?” Uske Baad HUZUR ﷺ ne Aapko ek Noorani Khurma Ataa farmaya aur Hukm Diya ke Ise Kha lo. HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) ne Huqm ki Taamil Karte hue wo Noorani Khurma Khaa Liya.

🌹 Usi Mubarak Shab me HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) ki Biwi Saheba MAKHDOOMA AAMINA KHATOON Haamila hui aur Mu’ayyan Muddat ke Baad HAZRAT KHWAJA SAYYED ABUL BARKAAT MOHAMMAD SIRAJUDDIN SHAH E AALAM BUKHARI ( رضى الله عنه) ki Viladat se Sarzamin e Gujarat Roshan o Munavvar hui.

📖 Reference: (Hayate Shah e Aalam, Sufiya e Gujarat)

URS Mubarak SHAM E QASRE HIDAYAT SHAIKHUL AQTAAB HAZRAT SAYYEDNA SARKAR USMAN SHAM E BURHANI SOHARVARDI Rehmatullahi Taala Alayhi

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

🍂  URS Mubarak SHAM E QASRE HIDAYAT SHAIKHUL AQTAAB HAZRAT SAYYEDNA SARKAR USMAN SHAM E BURHANI SOHARVARDI (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) 🍂 

📅 URS Sharif Date : :- 15, Jamadiul Avval

📍 Mazar Sharif :- Usmanpura, Ahmedabad, Gujarat)

🎏  Aapka Mubarak Naam HAZRAT SAYYED USMAN (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) He. Aapka Khitab ‘SHAIKHUL AQTAAB’ aur Laqab ‘SHAM E BURHANI’ He. Aap Bachpan hi Me HAZRAT SAYYEDNA ABDULLAH BURHANUDDIN QUTB E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) (Vaalid e Majid HAZRAT SHAH E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ) se Murid Hue Aur Unhi se Taalim o Tarbiyat Hasil Farmai.

🎏  Aapke Pote HAZRAT SAYYED AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ki Sagaai HAZRAT KHWAJA RUKNUDDIN KAANE SHAKAR CHISHTI (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ke Sahabzaade HAZRAT KHWAJA DAWOOD (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ki Ladki se Tay Hui. Ek Din Aapke Khadim ne Aapse Arz Kiya ke “Huzur! Aapki Zindagi Faqro Faaqa me Guzarti he Usko Badalna Hoga Kyuki Aapki Rishtedaari HAZRAT KHWAJA DAWOOD (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) se Hui He Aur Wo Sahibe Doulat he”

💎  Aapne Apne Us Murid se Farmaya ke ‘Mere Liye Mere Kisi Dusre ki Pervi Zaroori Nahi he. MERE LIYE MERE PIR KI PERVI KAFI HE’ Ye Farmane ke Baad Aap Apne Murshid HAZRAT SAYYEDNA ABDULLAH BURHANUDDIN QUTB E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ke Mazar e Poor Anvaar par Hazir Hue Aur Apni Haalat keh Sunai.

🕌 Aapke Pir ne Aalam e Roohaniyat me Aapko Jawab Inayat Farmaya ke “USMAN ! Na Ummid hone ki Koi Vajah Nahi, Khush Raho aur Khushi me Din Guzaro. Tumko ye Maloom Hona Chahiye ke Kaarkhana e Ilaahi me se Jitna Hamare Shehzaade SHAH E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ko Mila he Utna hi Hamne Tumko Bhi Dilaya he”

💝 Ye Basharat sun kar Aap Apni Qayamgaah ki Taraf Ravana Hue. Apne Us Khadim ko Bulaya Aur Farmaya ke ‘Fiqr Karne ki Koi Zaroorat Nahi, Aaj se ye Tariqa Ikhtiyaar Karo ke Jitne Kharch ki Zaroorat ho Utna Sabarmati Nadi ke Kinare Jakar Mitti Khod Kar Le Liya Karo’ Chunanche Khadim ne Yahi Tariqa Apnaya ke wo Rozana Sabarmati Nadi ke Kinare Jata Aur Mitti Khodne Par Hasbe Zaroorat Ashrafiya Nikal Kar Le Aata. Muddat Tak Hazrat ke Khandan walo ka Guzara Usi Tarah Hota Raha.

📚  (Tarikhe Sufiya e Gujarat)

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Hazrat Saiyed Muhammad Shah Bukhari, Soharwardi (Rehmatullahi Alayhi)

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

🔸 ﷽ 🔸

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Tarruf: Aap apne waqt ke benazir (Bemisaal) Aalim aur Faazil Bujurg the. 

🔸 Aap Sarkar Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ke dusre number ke farzand hai. 

🔸 Aap Jahiri aur Baatini Kamalaaton ke Jaame’a aur Mazhar e Rabbani the. 

🔸  Aap ki viladat bhi Neharwala Patan me hui thi. 

Visaal Sharif aur Mazar e Paak:

Aap ki viladat aur visal ki asal tarikh ka sahi ilm nahi ho paya hai. 

Ahmedabad me Gumbad e Qutbiyah (Vatva SHarif) me hi aap ka mazar e paak hai. 

Tarikh e San e Wafaat ka ilm abhi tak hasil nahi ho saka hai. (Wa’allahu Aa’lam)

📚 Reference: Tawarikh e Numaya

Is Post ko Sawab ki Niyat se aage share kare.

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Hazrat Saiyed Jalaluddin Shah Urf Shaikh Jeeyu Bukhari, Soharwardi (Rehmatullahi Alayhi)

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

🔸 ﷽ 🔸

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Mubarak Naam aur Khitab: Aap ka Mubarak Naam “Saiyed Jalaluddin” hai. Aap “Shah Shaikh Jeeyu” ke khitab se mashoor hai.

🔸 Paidaish aur Taaleem: Aap Hazrat Nasiruddin Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ ) ke chauthe (4th) Farzand hai. Aap ki paidaish Asaval (Aaj ka Asarwa) Ahmedabad me Hijri San 853 Mutabik Isvi San 1449 me hui. Aap ne tamaam Jaahiri aur Baatini Uloom apne Waalid e Girami se hi haasil kiye aur Jaahir, Baatini Kamalaaton ke Jame’a hue. Aap apne Waalid e Buzurgvaar ke hi Murid aur Khalifa hue. 

🔸 Baatini Faiz aur Khilafat: Jab Hazrat Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ko aap ki paidaish ki khabar mili to aap ne aap ke Farzand Nasiruddin Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ ) se farmaya.. “Bete khush ho jao ke aap ke yaha Jalaluddin Jahaaniya aaye hai” 

Aap ko Khirka e Khilafat aap ke Haqiqi Chacha Hazrat Saiyed Sirajuddin Shah e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) se mila aur Hazrat Shah e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) se baatini Neamaten bhi nasib hui. 

🔸 Aap ke Khulfa: Aap Saahib e Kashf o Karamat buzurg the aur apne Khandani buzurgo ki tarah Gauhar e Be-bahaa (Kimti Moti) the. Hazrat Qazi Mahmood Daryaai  Birpuri (رحمتہ اللہ علیہ ) aur Hazrat Saiyed Taiyab (رحمتہ اللہ علیہ ) jin ke mazaraat Isanpur me hai, aapke khulfa the. 

🔸 Visaal aur Mazar e Paak:  Hazrat Taiyed (رحمتہ اللہ علیہ ) ka visaal 25 Rajab, Hijri San 967 me hua aur Hazrat Jalaluddin Shah Shaikh Jeeyu  (رحمتہ اللہ علیہ ) ka vissal Hijri San 901 mutabik Isvi San 1490 me 68 baras ki Umr Mubarak me hua. 

🔸 Vatva Sharif me Gumbad e Qutbiyah ke Saamne Masjid ke najdik aap ka Mazar e Paak hai. Sultan Bahadur Shah Zafar ko Gujarat ki Hukumat aap ki dua se haasil hui thi. 

📚 Reference: Tawarikh e Numaya

Is Post ko Sawab ki Niyat se aage share kare.

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Hazrat Nasiruddin Mahmood Shah Budha Urf “Dariyanaush” (Bukhari, Soharwardi) (Rehmatullahi Ta’ala Alayhi)

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Mubarak Naam aur Qunniyat: Aap ka mubarak naam “Saiyed Mahmood” hai aur Qunniyat “Abul Hasan” aur “Nasiruddin” hai.

Laqab: Aap “Shah Budha” matlab ki “Bade Shah” aur “Dariyanaush” ke laqab se mashoor hai.

Khandan aur Pedaish: Aap Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ke pehle farzand hai. Aap ki Viladat e paak 23 Ramzanul Mubarak Hijri San 809, Mutabik Isvi San 1406 me Naharwala-Patan me hui. Aap ki Walida Majedah Bibi Sultan Khatun bahot hi Nek aur Parhezgar thi. Aap khud bahot hi paakizah aur Vali e Qamil shakhsiyat thi.

Taalem aur Khilafat: Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ne aap ke Waalid se hi Taleem aur Tarbiyat haasil ki aur sabhi tarah ke Jaahiri aur Baatini Uloom apne Waalid e Buzurug-vaar se hasil kiye. Aap ne apne Waalid se Izajat aur Khilafat hasil ki.

Halaat: Aap Zabardast Muttaki, Parhezgar aur Ba-sharah (Shariat ko majbooti se amal karne wale) buzurg the. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) apne daur ke “Qutub” the. Qutbiyat ka ye martaba aap ki khandani virasat thi jo aap ke aslaaf se chali aa rahi thi.

Visaal aur Mazar e Paak: 29 Zilqadah, Hijri San 882, Mutabik Isvi San 1477 me aap ne is faani dunya se parda farmaya. Aap ka Mazar e Paak, Vatva Sharif me hi, aap ke Waalid e Buzurgvaar Hazrat Qutb e Aalam Sarkar (رحمتہ اللہ علیہ ) ke paas Qibla rukh (North) hai.

Aulaad e Paak: Aap ke 5 farzand the:

  • Hazrat Shah Pyaran (رحمتہ اللہ علیہ )
  • Hazrat Saiyed Zakir (رحمتہ اللہ علیہ )
  • Hazrat Saiyed Sher Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ )
  • Hazrat Saiyed Jalaluddin Shah Urf Shaikh Jeeyu (رحمتہ اللہ علیہ )
  • Hazrat Shah Atikullah (رحمتہ اللہ علیہ )

Is Post ko Sawab ki Niyat se aage share kare.

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 

Team : Gulzar e Aulia

Reference: Twarikh e Numaya

Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“.

Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 

Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb-e-Aalam Bukhari, Soharwardi (Rehmatullahi Ta’ala Alayhi) (Aakhri Part)

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

ﷺ ‎ ‎ الله ‎يارسول‎ الصــلوة والسلام عليك

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Part 10: Aap ka Visaal aur Mazaar e Paak (Aakhri Part)

Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) ne 68 Saal, 4 Mahine aur 24 Din ki Umr hasil kar ke 8 Jul-Hizzah Subah Sadiq ke waqt Hijri 858 Mutabik Eesvi San 1654 me Visaal Farmaya. Aap ka Mazar e Paak Vatva Sharif me Marz-e-Khalaiq hai.

Vatva Sharif, Paldi aur Suthuri Gaanv ki Aamdani Sultan ne Urs Sharif, Sajjadah aur Farzando ke liye Muqarrar ki hui thi. Aur “Saadat e Qutbiyah” (Aap ki Aulaad e Paak) Gaanv aap ki Mubarak Auladon ke liye supurd kiya gaya. Aaj tak ye Gaanv aap ki Aal aur Aulaado ke Ikhtiyar me hai.

Aap ke Aulad e Paak: Aap Kaseer-ul-Aulaad (Bahot sari Aulad wale) the. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ke 12 Sahabzade (Ladke) aur 17 Sahabzadiyan (Ladkiya) thi. Jin me se Sahabzado ke naam is tarah hai:

  1. Hazrat Saiyed Naasiruddin Abul Hasan Makhdum Saiyed Mahmood Urf “Shah Budha” (رحمتہ اللہ علیہ )
  2. Hazrat Saiyed Muhammad Shah (رحمتہ اللہ علیہ )
  3. Hazrat Saiyed Ahmad Shah Budha (رحمتہ اللہ علیہ )
  4. Hazrat Saiyed Haamid (رحمتہ اللہ علیہ )
  5. Hazrat Saiyed Saaleh (رحمتہ اللہ علیہ )
  6. Hazrat Saiyed Bandagi Shah Aminullah (رحمتہ اللہ علیہ )
  7. Hazrat Saiyed Muhammad Zaahid (رحمتہ اللہ علیہ )
  8. Hazrat Saiyed Muhammad Asgar Urf “Shah Shaikh Muhammad” (رحمتہ اللہ علیہ )
  9. Hazrat Saiyed Muhammad Sadiq (رحمتہ اللہ علیہ )
  10. Hazrat Saiyed Muhammad Raju (رحمتہ اللہ علیہ )
  11. Hazrat Saiyed Muhammad Sirajuddin “Shah e Aalam” (رحمتہ اللہ علیہ )
  12. Hazrat Saiyed Ilmuddin (رحمتہ اللہ علیہ )

Hazrat Saiyed Ilmuddin (رحمتہ اللہ علیہ ) Bachpan Sharif me hi visal farma gaye the. Is liye aap ne apne Mehboob Khalifa Hazrat Saiyed Abdul Lateef (رحمتہ اللہ علیہ ), Jin ka Mazar e Paak Khan Sarwar (Patan) me hai, unhe apni 12 vi Aulaad keh kar pukara karte the.

Hazrat Sarkar Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ ) Ahmedabad (Gujarat) ke bahot hi Mashoor aur Ma’aruf Buzurg hasti hai. Aap ka Mazar e Poor Anwaar Marz e Khalaiq hai. Pareshan haal makhluq e Khuda aap se faizyaad hoti hai.

Aaiye hum sab mil kar dua karte hai ki Allah Ta’ala in Qamil Buzurg ke vasila e paak se hume Deen aur Dunya me Qamyabi ata farmaye. Aameen

Is post ke sath Hazrat Sarkar Qutb e Aalam ka mukhtasar Ta’aruf khtm hota hai.

In Sha Allah, aage ki post me aap ki Aulaad e Paak ke bare me hum jaan ne ki koshish karenge

Is Post ko Sawab ki Niyat se aage share kare.

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 

Team : Gulzar e Aulia

Reference: Twarikh e Numaya

Is post ko sawab ki niyat se share kare aur dusro tak pahuchaaye.

Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“.

Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 

Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb-e-Aalam Bukhari, Soharwardi (Rehmatullahi Ta’ala Alayhi)

ﷺ ‎ ‎ الله ‎يارسول‎ الصــلوة والسلام عليك

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Part 9: Aap ki Karaamat, Visaal aur Mazar e Paak

Aap se bahut sari karamton ka zuhur hua, jis me se ek yaha Tabarruk ke taur par arz ki ja rahi hai.

Ek raat ko Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) Namaz e Tahajjud padh kar bahar tashrif laaye. Raat ki taariqi (andhera) bahot thi. Raaste me ek Paththar pada hua tha. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ko us paththar ki thokar lagi. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ne farmaya, “Paththar hai, Loha hai, Lakdi hai” . Jab aap (رحمتہ اللہ علیہ ) Fazar ki Namaz me dekha to us paththar me teeno chize maujud thi. Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ne us paththar ko ek goshe (kone) me dafan karne ka Hukm diya. Aur farmaya, “Jo Shakhsh is paththar ko nikalega, uski Nasl nahi chalegi.”

Mubarak Paththar Sharif jo aaj bhi Vatva Sharif me Maujood hai

Aap (رحمتہ اللہ علیہ ) ke Visaal Sharif ke baad ek Mureed ne us paththar ko nikal kar Manzar e Aam (Zaahir) kar diya aur khud ki Nasl ka khatma kar diya.

Ye Paththar aaj bhi Vatva Sharif (Ahmedabad) me maujood hai. Logo ke Hujum dar Hujum iski Ziyarat se Musharraf hote hai. Jab Badshah Akbar Delhi se Gujarat aaya to is paththar se ek Tukda apne sath Delhi le gaya.

Aage ki post me padhiye: “Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ka Visaal Sharif aur Mazaar e Paak”

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 

Team : Gulzar e Aulia

Reference: Twarikh e Numaya

Is post ko sawab ki niyat se share kare aur dusro tak pahuchaaye.

Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“.

Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 



Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb-e-Aalam Bukhari, Soharwardi (رحمتہ اللہ علیہ)

‎ ‎ الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Part 8: Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) Ka Qaseedah

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) app khud ek shayar the.

Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne app ki shaan me ek behtarin Qaseedah likha aur Sharon ki tarah Adab se aap ki bargaah me hazir ho kar khade rah kar darbaar me is Qaseedah ko padha. Is sher ka ek Matla (Ashaar) kuch is tarah hai:

“Kutb e Zamaa Ma Burhan-ast Mara,

Burhan-e-Oo Hamesha Chun Namash Aashkara”

Qaseedah padhne ke baad Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne arz ki “Duaon ka Ummeedvar Hun”.

Aap ne irshad farmaya, “Aap ke khandaan ke liye mere Dada ne Dua farmayi hai”

Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne arz ki ke “Aap ke Dada ne Sultan ki Aulaad ke liye Saltanat ke liye dua farmayi thi. Aap bara e karam Is Shahar Ahmedabad ki Aabadi aur Maqbuliyat ke liye dua Farmaaye.

Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ne Irsha farmaya:

“AHMADABAD ABDAL-AABAD, IN-SHA-ALLAH-UR-RAOOFU BIL-EBAAD”

Aage ki post me padhiye: “Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ki Karamat”

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 

Team : Gulzar e Aulia

Reference: Twarikh e Numaya

Is post ko sawab ki niyat se share kare aur dusro tak pahuchaaye. Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai”. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 

Hazrat Saiyed Meera Ali Datar

*﷽-الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ*

📝 _*Is Post Me Padhe…*_

❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤

*✒“HAZRAT SAYYED ALI KI SHADI KI TAYYARI”:-*

💚💚💚💚💚💚💚💚💚💚

*~~~~~Urs Mubarak SHAHENSHAH E GUJARAT FAATAH E MAANDAVGADH SHAHID E AKBAR HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu (Urs 29, Muharramul haraam, Mazar : Unava Sharif, Gujarat)~~~~~*

↪ *POST NO.8*

*☄ Jab MEHMOOD BEGDA ne Apni Basharat ka zikr HAZRAT SAYYED ILMUDDIN alayhirrehma se kiya us waqt Ghar par HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu ki Shadi ki tayyari ho rahi thi. Dada Jaan ne HAZRAT MIRA ALI ko bulane ke liye khat likha. Lekin khat ka koi jawab na aaya kyunki koi bhi khat HAZRAT SAYYED ALI tak pahoncha hi nahi.*

*☄ Aapke Bade bhai aur Aapki Vaalida wok hat chhupa dete kyunki Aapki Shadi hone wali thi. Jab kai dino tak khat ka jawab na aaya to BADSHAH aur SAYYED ILMUDDIN bahot fikrmand hue. Phir kisi Qaasid ko bheja jiski Mulaqat HAZRAT MIRA SAYYED ALI se ho gai. Qaasid ne HAZRAT MIRA ALI ko Paigaam diyaa jis se Aapko tamam haalaat maloom hue.*

*☄ Aap Apni Vaalida DAAMA AMMA ke paas aae, vahi Aapke bade bhai bhi mojud the. Aapne Vaalida ko khat dikhaya aur puchha ke : aane wale khat mujhe kyu nahi diye gae? Dada Jaan ne mujhe bulaya he, Maandavgadh me jo kuchh Saalo se Jung ho rahi he uski Fateh In Sha ALLAH hamare hatho se hogi. Ammi Jaan ! Aap hame jane ki Ijazat dijiye.*

*☄ DAAMA AMMA ne farmaya : “Bete ALI ! tumhari Shadi hone wali he mene is liye sare Khat chhupa diye the”. SAYYED MIRA ALI radiyallahu anhu ne kaha : “Maandavgadh ke Raaja ke Zulm ko mitane ke liye aur Logo ko uske Shar se bachane ke liye Aap mujhe ijazat dijiye”. DAAMA AMMA ne farmaya : “Jab ALLAH ki yahi Marzi he to me tumhe jane ki Ijazat deti hu”. Vaalida ne Aapki Peshani ko Bosa diya, bhai se mulaqat ki aur Khuda ki Raah me Aap chal pade.*

*📚(Sawaneh Sayyed Mira Ali Datar)*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Page 1 of 2
1 2