Part 2 URS MUBARAK SHAHENSHAH E GUJARAT HAM SHABIH E RASOOL MEHBOB E BAARI HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH E AALAM BUKHARI

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

👉🏼 Part 2: VAALIDA KE PET ME AAP KI KARAMAT KA ZUHOOR 👈🏼

✒️ HAZRAT KHWAJA SAFIYUDDIN JAAFAR BADR E AALAM ( رضى الله عنه) ‘Sad Hiqayat’ me Tehrir Farmate he ke: “Jab HAZRAT SIRAJUDDIN SHAH E AALAM BUKHARI ( رضى الله عنه) Apni Vaalida majida ke Shiqam (Pet) me the Aapki Vaalida HAZRAT BIBI AAMINA KHATOON (Rehmatullahi Ta’ala Anha) farmati he ke Ek Raat ka Waqia he ke HAZRAT BURHANUDDIN QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) Apne Takht par Jalwa Afroz the aur aap bhi Usi Takht par Apne Khandani Avraad o Wazaif me Mashgool thi.

✒️  Ittefaq se ek Dua padhne me Aapse Zabar Zer me Kuchh Galti hui. HAZRAT SAYYEDNA SHAH E AALAM ( رضى الله عنه) ne Apni Vaalida ke Shiqame Mubarak se Unko us Galti par Toka. Aapki Valida Farmati he ke Jab mene Us Aawaz ko Suna to Foran apni Galti ko Durust ko kar Liya aur Wazaif se Faarig hokar mene HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) se Puchha ke ‘Ye Aawaz aapki to Nahi thi Kyuki me aapki Aawaz ko Pehchanti hu to Phir ye Kiski Aawaz thi aur ye kon tha Jisne meri Galti par Mujhe Toka’ ?

✒️  HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) ne Tabassum Farma kar Irshad Farmaya ke: “Ye Aawaz Us Bachche ki he Jo Aapke Shiqam me he. Haq Ta’ala ne Us Bachche ko Uloome Avvalino Aakhirin batore Karamat Ataa Farmae he. – SubahanAllah

📚   Reference: (Hayate Shah e Aalam aur Sufiya e Gujarat) 📚

✒️ Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

Part 1 URS MUBARAK SHAHENSHAH E GUJARAT HAM SHABIH E RASOOL MEHBOB E BAARI HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH E AALAM BUKHARI

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

👉🏼 Part – 1: “NOORANI KHURMA AUR AAPKI PAIDAISH MUBARAK” 👈🏼

✨ Aapka Naam Mubarak “MUHAMMAD” He. Aapki Kunniyat “ABUL BARKAAT” Laqab “SIRAJUDDIN” aur Khitab “SHAH E AALAM” va “MEHBOOB E BAARI” He. Aap ke Valid e Mohtaram ka Naam “HAZRAT SAYYED ABU MOHAMMAD BURHANUDDIN ABDULLAH Al Mash’hoor QUTB E AALAM BUKHARI” he. Aapki Vaalida Majida ka Naam “MAKHDOOMA BIBI AAMINA SULTANA” He.( رضى الله عنه)

🌹 HAZRAT SAYYEDNA SARKAR SHAH E AALAM ( رضى الله عنه) ki Viladat Sharif se ek Saal Pehle ek Noorani Raat ka Waqia he ke Majlise Roohaniyat Qaim thi aur Rooe Zamin ke Tamam QUTUB Baargahe Risalat ﷺ me Hazir the. HUZUR E ANVAR ﷺ ne Az Raahe Inayat Un Tamam AQTAAB ke Majme par Nigaahe Paak Daali to Mulaheza Farmaya ke Aksar AQTAAB ke sath Unke Farzand bhi Moujud he, Lekin HAZRAT BURHANUDDIN QUTB E AALAM BUKHARI ( رضى الله عنه) Tanha (Akele) he.

🌹 HUZUR E AQDAS ﷺ ne Irshad farmaya ke “Ae Farzand! Tumhare Sath koi nahi he?” Uske Baad HUZUR ﷺ ne Aapko ek Noorani Khurma Ataa farmaya aur Hukm Diya ke Ise Kha lo. HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) ne Huqm ki Taamil Karte hue wo Noorani Khurma Khaa Liya.

🌹 Usi Mubarak Shab me HAZRAT QUTB E AALAM ( رضى الله عنه) ki Biwi Saheba MAKHDOOMA AAMINA KHATOON Haamila hui aur Mu’ayyan Muddat ke Baad HAZRAT KHWAJA SAYYED ABUL BARKAAT MOHAMMAD SIRAJUDDIN SHAH E AALAM BUKHARI ( رضى الله عنه) ki Viladat se Sarzamin e Gujarat Roshan o Munavvar hui.

📖 Reference: (Hayate Shah e Aalam, Sufiya e Gujarat)

URS Mubarak SHAM E QASRE HIDAYAT SHAIKHUL AQTAAB HAZRAT SAYYEDNA SARKAR USMAN SHAM E BURHANI SOHARVARDI Rehmatullahi Taala Alayhi

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

🍂  URS Mubarak SHAM E QASRE HIDAYAT SHAIKHUL AQTAAB HAZRAT SAYYEDNA SARKAR USMAN SHAM E BURHANI SOHARVARDI (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) 🍂 

📅 URS Sharif Date : :- 15, Jamadiul Avval

📍 Mazar Sharif :- Usmanpura, Ahmedabad, Gujarat)

🎏  Aapka Mubarak Naam HAZRAT SAYYED USMAN (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) He. Aapka Khitab ‘SHAIKHUL AQTAAB’ aur Laqab ‘SHAM E BURHANI’ He. Aap Bachpan hi Me HAZRAT SAYYEDNA ABDULLAH BURHANUDDIN QUTB E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) (Vaalid e Majid HAZRAT SHAH E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ) se Murid Hue Aur Unhi se Taalim o Tarbiyat Hasil Farmai.

🎏  Aapke Pote HAZRAT SAYYED AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ki Sagaai HAZRAT KHWAJA RUKNUDDIN KAANE SHAKAR CHISHTI (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ke Sahabzaade HAZRAT KHWAJA DAWOOD (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ki Ladki se Tay Hui. Ek Din Aapke Khadim ne Aapse Arz Kiya ke “Huzur! Aapki Zindagi Faqro Faaqa me Guzarti he Usko Badalna Hoga Kyuki Aapki Rishtedaari HAZRAT KHWAJA DAWOOD (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) se Hui He Aur Wo Sahibe Doulat he”

💎  Aapne Apne Us Murid se Farmaya ke ‘Mere Liye Mere Kisi Dusre ki Pervi Zaroori Nahi he. MERE LIYE MERE PIR KI PERVI KAFI HE’ Ye Farmane ke Baad Aap Apne Murshid HAZRAT SAYYEDNA ABDULLAH BURHANUDDIN QUTB E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ke Mazar e Poor Anvaar par Hazir Hue Aur Apni Haalat keh Sunai.

🕌 Aapke Pir ne Aalam e Roohaniyat me Aapko Jawab Inayat Farmaya ke “USMAN ! Na Ummid hone ki Koi Vajah Nahi, Khush Raho aur Khushi me Din Guzaro. Tumko ye Maloom Hona Chahiye ke Kaarkhana e Ilaahi me se Jitna Hamare Shehzaade SHAH E AALAM (رَحْمَةُاْلْلّٰهِ عَلَيـهِ) ko Mila he Utna hi Hamne Tumko Bhi Dilaya he”

💝 Ye Basharat sun kar Aap Apni Qayamgaah ki Taraf Ravana Hue. Apne Us Khadim ko Bulaya Aur Farmaya ke ‘Fiqr Karne ki Koi Zaroorat Nahi, Aaj se ye Tariqa Ikhtiyaar Karo ke Jitne Kharch ki Zaroorat ho Utna Sabarmati Nadi ke Kinare Jakar Mitti Khod Kar Le Liya Karo’ Chunanche Khadim ne Yahi Tariqa Apnaya ke wo Rozana Sabarmati Nadi ke Kinare Jata Aur Mitti Khodne Par Hasbe Zaroorat Ashrafiya Nikal Kar Le Aata. Muddat Tak Hazrat ke Khandan walo ka Guzara Usi Tarah Hota Raha.

📚  (Tarikhe Sufiya e Gujarat)

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Urs Mubarak Hazrat Sultan Ahmad Shah Badshah (Rehmatullah Alayhi)

🔸 ﷽ 🔸

⚡️ الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك ⚡️

🕌 Aap ka Taqwa aur Ibadat 🕌

⚜ Aap behad mushkil tareen riyazat aur ibadaton ke silsilon me mashroof rehte the.

Aap wo Azimusshan Sultan hai jo kabhi Be-Wuzu nahi rahe.

⚜ Haal to ye hai ki aap ne kabhi bhi Asar ki Namaz ki Sunnate, jo ki Gair-Muakkedah hai, Kabhi bhi tark (chhodi) nahi. Iska tazkira aaj bhi tarikho me maujood hai.

⚜ Garz ki aap har tarah ki khubiya aur kamalaato ke majmua the.

🌟 Visaal Sharif aur Mazar e Paak 🌟

⚜ Aap ka visaal Hijri San 845, Mutabik Isvi San 1441 me hua. Aap ka Aalishan Makbara Manekchowk, Ahmedabad me maujood hai. Jo Jamea Masjid Ahmedabad ki bagal me hi maujood hai. Aap ne 32 Saal, 6 Maah aur 22 Deen Hukumat farmayi. Taarikh aap ke azim kirdar ko hamesha yaad rakhegi aur hamesha aap ka naam Adab o Ahteram ke sath liya jayega.

🌈 Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🌈

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Urs Mubarak Hazrat Sultan Ahmad Shah Badshah (Rehmatullah Alayhi)

🔸 ﷽ 🔸

⚡️ الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك ⚡️

⚖️ Aap ka Adal wa Insaaf ⚖️

👉🏼 Aap ka Insaaf bahot hi Mashoor hai. Aap ki Azimusshan Hukumat me 2 Qatl (khoon) ke waqiye pesh aaye, jis me aapne behad tawajjo farmayi aur insaaf kiya.

🌴 Aap ke Damaad (Jamaai) ne ek insan ka Qatl (khoon) kar diya jo ki garib tha. Muqadama chala. Us waqt ke Qazi Saahab ne khoon ke badle me 200 Oont ya uske jitni rakam par maqtool ke waariso ko manjoor kar liya. Is muqadame ki nakal taiyar ho kar Hazrat Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ke paas pahuchi.

🌿 Aap ne Qazi Sahab se farmaya, “Aap ne is muqadame ka faisla meri himayat (tarafdari) me kiya hai. Islam ye hukm nahi deta ke ek takatwar ya maaldar shaksh kisi garib ko qatl kar de aur uske badle me baais (22) ashrafi de kar us se bari ho jaye. Agar aisa hi hua to fir koi bhi maaldar is tarah qatl kar ke fidiya de kar aazad ho jayega. Aap ka ye faisla behad kamzor hai. Meri mamlekat (Hukumat) me me is tarah ka na-kabil faisla nahi kar sakta. Me is faisle ko Siyasat ki nazar se, Shariaki nazar se aur Nizamat ki nazar se iske khilaf hu. Mujhe iska ilm hai ki meri aziz beti apne shohar ke qatl ke sadme se bahot zyada gamgeen hogi lekin me ye khatarnaak zulm bhi bardasht nahi kar sakta ki kisi garib par zyadti ho.

🌷 “Lihaza tamat waqiaat aur halaat par nazar karte hue mera faisla ye hai ki Qatil ko Kisaas (Badla) ke taur par faansi di jaye. Sath hi ye bhi hukm deta hu ki Qatil ki lash ko ek din aur raat ke liye shahar ki andar latkayi jaye taaki agli bar koi takatwar ya maldar shaksh kisi garib ka qatl na kar sake”

👉🏻 Aap ke Shahi khandan wale aur dusre wajiro aur ameero ne aap se bahot iltija ki ke aap ye faisla badal de. Lekin Hazrat Sultan Ahmad Shah Badshah (رحمتہ اللہ علیہ) ka faisla atal raha. Aakhir kar aap ke damad ko qatl kiya gaya aur bich bazar me unki lash ko ek din aur raat ke liye latka di gayi. Dusre din unka Janaza dafnaya gaya. Ye hai aap ka Azeem Insaaf jis ki misaal apne hi aap me ek hi hai.

🌟 🌟   Aage ke part me padhiye: “Aap ka Taqwa aur Ibadat “   🌟 🌟    

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Urs Mubarak Hazrat Sultan Ahmad Shah Badshah (Rehmatullah Alayhi)

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

🔸 ﷽ 🔸

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك

⚡️ Paidaish aur Taleem⚡️

Aap Hijri San 794 Mutabik Isvi San 1391 me Delhi me paida hue. Us waqt Zafar Khan Muzaffar Shah Rasti Khan Farhatul Mulk Gujarat ke liye Delhi se rawana hue the. Raste me hi Zafar Khan Muzaffar Shah ko “Ahmad Khan” ki paidaish ki khabar mili. Hazrat Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne Zahiri Uloom Aalimo aur Fazilon se haasil kiye aur Hazrat Shaikh Ruqnuddin Kaan e Shakar (رحمتہ اللہ علیہ) ke murid hue.

🌺 Haalat e Zindagi 🌺

Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) Behad Aadil (Adal o Insaaf Karnewala), Sakhi, Salimul Mijaz aur Muttaqi Parhezgar Badshah the. Aap ka insaaf Tarikh liknewalo ne apni twarikh me sunhari alfaaz se likha hai.

Aap ne Hazrat Ganj Ahmad Khattu (رحمتہ اللہ علیہ) se bhi behad faiz haasil kiya. Aap Ulma dost, Sulha aur Fuqra-nawaz (Garibo ki imdaad karne wale) aur Gurba Parwar the. Kehne ke maqsad ye hai ki aap behad aalishan o azim Akhlaq ke malik the. Aap ne Hazrat Khwaja Khizar (Alayhi-ssalam) se bhi mulaqat ka sharf hasil kiya aur unhi ke mashware se Shahar e Ahmedabad aabad kiya.

Aap ne Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb e Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) se bhi Roohani aur Baatini Uloom hasil kiye the.

👉  👉🏻  Aage ke part me padhiye: “Aap ka Adal o Insaaf”  👈🏻 👈🏻   

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Urs Mubarak Hazrat Sultan Ahmad Shah Badshah (Rehmatullah Alayhi)

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

🔸 ﷽ 🔸

🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷🔷

الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك

Assalamualaykum,

4 Rabiul Aakhir ko Baani e Ahmedabad Sultan Ahmad Shah Badshah (رحمتہ اللہ علیہ)  ka Urs Mubarak hai.  Unki bargah me Khiraj e Aqeedat pesh karne ke liye ye post ki ja rahi hai. 

🌹🌹 Aap ka Mukhtasar Ta’rruf 🌹🌹

⚡️ Mubarak Naam ⚡️

Aap ka mubarak naam “Ahmad Khan” hai.

🌿 Khandaan 🌿 

Aap Shah Tatar Khan bin Zafar Khan bin Vajihul Mulk ke farzand hai. Aap ke waalid Hazrat Tatar Khan ka Mazar e Paak Neharwala (Patan)  me “KhudaaiGaan Shaheed” ke naam se mashoor hai. Aap ke Dada ka Mazar bhi Patan me maujood hai. 

Aage ki posts me padhiye “Aap ki Paidaish aur Taaleem “

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

📿 Mafhum e Hadees Sharif hai ki “Achhi baat ko failana bhi ek sadqa hai“. 📿

💕Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb-e-Aalam Bukhari, Soharwardi (رحمتہ اللہ علیہ)

‎ ‎ الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك

Part 7: Iradat wa Khilafat

Aap aap ke Waalid e Buzurgvar ke Murid bane aur Khilafat aap ke Chacha Dada Hazrat Saiyed Sadruddin Raju Kattal (رحمتہ اللہ علیہ) se hasil ki.

Hazrat Shaikh Ganj Ahmad Khattu Sarkhezi Ahmedabadi (رحمتہ اللہ علیہ) aap se behad muhabbat rakhte the. Aap hazrat ne bhi Sarkar Qutb-e-Aalam (رحمتہ اللہ علیہ) ko khilafat se sarfaraz kiya.

Aap ne Hazrat Ruknuddin Kaan-e-Shakar (رحمتہ اللہ علیہ) se Silsila-e-Chishtiya ki khilafat paayi.

Aap shariat ke Ma’mlaat me kisi ki bhi riyayat nahi karte the.

Aap Mustajja-ud-Dawaat (Jis ki dua radd nahi ki jati) aise paye ke buzurg the,

Aap ki halaat e zindagi e paak se “Aulia e Gujarat”, “Miraat e Ahmadi”, “Tohfat-ul-Kiraam”, “Tohfat-ul-Akhbaar”, “Taarikh e Aulia e Dakkan” vagairah kitaabo ke avraak (safahaat, pages) muzayyan (decorated) hai.

Aage ki post me padhiye: “Hazrat Sultan Ahmad Shah ka Qaseedah”

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com

Reference: Twarikh e Numaya

Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb-e-Aalam Bukhari, Soharwardi (رحمتہ اللہ علیہ)

‎ ‎ الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك

Part 6: Aap ke Haalat e Zindagi:
Aap ne Maulana Ali Sher Bangali (رحمتہ اللہ علیہ) se faize haasil karne ke liye unki bargaah me haazir hue. 

Aap behad Muta’sharah (Shariat ke paband), Muttaki aur Parhezgaar buzurg the. 

Aabadi se zyada aap viraane ko pasand farmate the. 

Bilkul sadaai se aap apni zindagi basar farmate the. 

Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne “Vatva Sharif” ko aap ke supurd kar diya tha jisse aap ke Akhrajaat (Gujara) hota tha. Aaj bhi aap ki aulaad e paak “Vatva Sharif” me maujood hai. 

Patan se aane ke baad aapne sab se pehle Sabarmati nadi ke kinare “Asaval” (Jo aaj Asarva naam se famous hai) waha aapne apna qiyaam farmaya. 

Aap ne Asaval me ek masjid bhi taamir karvayi jiske nakshe aaj bhi maujood hai. 

Aage ki post me padhiye: “Iradat wa Khilafat”

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com

Reference: Twarikh e Numaya

 

Hazrat Saiyed Burhanuddin Qutb-e-Aalam Bukhari, Soharwardi (رحمتہ اللہ علیہ)

‎ ‎ الله ‎يارسول‎ ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك


Part 5: Patan se Ahmedabad:

Jab Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne Ahmedabad shahar aabad kiya to aap Patan se Ahmedabad tashrif le aaye. Aur “Vatva” me, ki jo us waqt Ahmedabad ka ek mohalla tha waha aa kar apna Kiyaam (Basna) kiya. 

Aap ne yaha Rushdo Hidayat ke wo chashme bahana shuru kiya ke giroh dar giroh aap ki bargaah me aane lage aur aap unki Pusht-e-Panaah ke aasra bane. 

Aap ki Nigaah e Karam se beshumar logo ko Qaamilaan-e-Waqt ban ne ka nasib hasil hua. 

Aap ki jabaan e muqaddas se jo nikalta tha wo turant hi ho jata tha aur aap ki dua fauran qubul ki jati thi. 

Aage ki post me padhiye: “Aap ke Haalat e Zindagi”

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com

Reference: Twarikh e Numaya

Page 1 of 2
1 2