✨ أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ ✨
⚡️ بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم ⚡️
🍁 Baab: 1: Huzur (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ki Makki Zindagi 🍁
👉 Is post me padhiye: “Sarkar (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ki Khandani Haalat“
🍁 NasabNaama: Huzur e Aqdas (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ka Nasab Sharif Waalid e Maajid ki taraf se ye hai:
- Hazrat Muhammad (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ)
- Bin Abdullah
- Bin Abdul Muttalib
- Bin Haashim
- Bin Abad e Manaaf
- Bin Kusa
- Bin Kilaab
- Bin Murrah
- Bin Ka’ab
- Bin Luai
- Bin Gaalib
- Bin Fahar
- Bin Maalik
- Bin Najra
- Bin Kinana
- Bin Khuzaima
- Bin Mudrikah
- Bin Ilyas
- Bin Mujar
- Bin Najaar
- Bin Ma’ad
- Bin Adnaan
📚 (Reference: Bukhari Sharif Jild 1; Baab: Mabus An’Nabi (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) wa رضي الله عنهم)
Aur Walidah Majidah Ki Taraf se Huzur (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ka Shajra e Nasab Mubarak ye hai:
- Hazrat Muhammad (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ)
- Bin Aamina
- Binte Wahab
- Binte Abad e Manaaf
- Binte Zahra
- Binte Kilaab
- Binte Murrah
📚 (Reference: Sahih Bukhari Sharif – Kitab ul Manakib Jild 2; Baab: Mabus An’Nabi (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) wa رضي الله عنهم)
Hazrat Muhammad (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ke Walidain ka Nasab Nama “Kilab bin Murrah” par mil jata hai aur aage chal kar dono Silsile ek ho jate hai.
“Adnaan” tak aap ka Nasab Nama Sahih Sanad ke sath ba-ittifaaq e Muarrikhin sabit hai. Iske baad Namo me Bahut kuch Ikhtilaf hai Aur Huzur Muhammad (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) jab bhi apna NasabNama bayan farmate the to “Adnaan” tak hi Zikr farmate the.
Magar Is par tamam “Muarrikhin” ka Ittifaq hai ki “Adnaan” Hazrat e Ismail عليه السلام ki Aulad me se hai Aur Hazrat e Ismail عليه السلام Hazrat e Ibrahim Khalilullah عليه السلام ke Farzand e Arzumand hai.
👉 Aage ki post me padhiye: “Huzur Muhammad (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ki Khandani Sharafat”
📚 Reference: Seerat e Mustafa (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ)
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌
🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀
💕Is Post ko Sawab ki Niyyat se Dusro Tak Pahuchaye. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕