URS MUBARAK 2 Shaban ul Muazzam Imam e Aazam Abu Hanifa Radiallahu Taala Anhu

💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐

💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐

🌿 Hazrat Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ka Mukhtasar Ta’arruf🌿

🌴 Naam Mubarak: Nouman bin Saabit

🌴 Viladat Mubarak: Hijri 70 (Kufa, Iraq)

🌴 Kunniyat: Abu Hanifa

🌴 Pesha: Tijarat (Business)

🌴 Laqab: Imam e Aazam

🌴 Umar Mubarak: 80 Saal

🌴 Vafaat Mubarak: 2 Shaban ul Muazzam, Hijri 150

🌴 Mazar Sharif: Baghdad Sharif, Iraq

Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ka Muqaddas Mazar e Paak (Baghdad Sharif, Iraq)

🎀 Madina e Munawwara me Jab Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ne Sarkar e Madina ko Roza e Poor Anwaar par Is tarah Salaam Arz kiya: “Assalamu Alayka Ya Saiyyadil Mursaleen” (Tarjuma: Ae Nabiyo (Rasoolon) ke Sardar aap par Salam ho)

💖 To Roza e Anwar se Jawab ki Aawaz aayi: “Wa’alayka Assalam Ya Imaamul Muslimeen” (Tarjuma: Ae Musalmano ke Imam par bhi Salam ho)

📚 Reference; Tazkiratul Aulia

🌹  Apne apne gharo me Aap sabhi bhai Hazrat Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ke Isaal e Sawab ke liye Fatiha dilwaye aur unki bargah me pesh kare. Allah Ta’ala Hazrat Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ke wasile se Corona Virus ki is Waba se hum sab musalmano ki hifazat farmaye…. Aameen

Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌

🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀

💕Is Post ko Sawab ki Niyyat se Dusro Tak Pahuchaye. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕

3 Replies to “URS MUBARAK 2 Shaban ul Muazzam Imam e Aazam Abu Hanifa Radiallahu Taala Anhu”

  1. SubhanAllah Ma Sha’a Allah Bahoot Hi Umda . bahoot Hi Dilchasp Maloomat Aasaan Tareeqe Se Maloom Kersakte Hai Is App Se.
    allah Ta’ala Qabool Farmaye Aapke Is Kaam Ko.
    Congratulations To U And Your Team

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *