❣💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐 ❣
❣ 💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐 ❣
🌿 Hazrat Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ka Mukhtasar Ta’arruf🌿
🌴 Naam Mubarak: Nouman bin Saabit
🌴 Viladat Mubarak: Hijri 70 (Kufa, Iraq)
🌴 Kunniyat: Abu Hanifa
🌴 Pesha: Tijarat (Business)
🌴 Laqab: Imam e Aazam
🌴 Umar Mubarak: 80 Saal
🌴 Vafaat Mubarak: 2 Shaban ul Muazzam, Hijri 150
🌴 Mazar Sharif: Baghdad Sharif, Iraq
🎀 Madina e Munawwara me Jab Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ne Sarkar e Madina ﷺ ko Roza e Poor Anwaar par Is tarah Salaam Arz kiya: “Assalamu Alayka Ya Saiyyadil Mursaleen” (Tarjuma: Ae Nabiyo (Rasoolon) ke Sardar aap par Salam ho)
💖 To Roza e Anwar se Jawab ki Aawaz aayi: “Wa’alayka Assalam Ya Imaamul Muslimeen” (Tarjuma: Ae Musalmano ke Imam par bhi Salam ho)
📚 Reference; Tazkiratul Aulia
🌹 Apne apne gharo me Aap sabhi bhai Hazrat Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ke Isaal e Sawab ke liye Fatiha dilwaye aur unki bargah me pesh kare. Allah Ta’ala Hazrat Imam e Aazam Abu Hanifa (رضى الله عنه) ke wasile se Corona Virus ki is Waba se hum sab musalmano ki hifazat farmaye…. Aameen
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌
🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀
💕Is Post ko Sawab ki Niyyat se Dusro Tak Pahuchaye. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕