❣💐 أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ 💐 ❣
❣ 💐 بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم 💐 ❣
🌿 Hazrat Sayyidina Imam Ja’afar Sadiq (رضى الله عنه) ki Seerat ke kuch Mukhtasar Pehlu 🌿
🌴 Hazrat Sayyidina Imam Ja’afar Sadiq ( رضى الله عنه ) ki Viladat Rabiul Awwal (Rabi-un-Noor) Hijri San 83 Peer Sharif ke din Madina Munawwara me hui.
🌴 Aap ki Qunniyat “Abu Abdullah” aur “Abu Ismail” aur laqab “Sadiq“, “Faazil” aur “Tahir” hai.
🌴 Aap ( رضى الله عنه ) Hazrat Sayyidina Imam Muhammad Bakir ( رضى الله عنه ) ke bade SaahabZade hai. Aap ( رضى الله عنه ) ki Walidah Hazrate Sayyidina Tuna Umme Fardah (رضي الله عنها) Amirul Mua’meenin Sayyidina Sidiique Akbar ( رضى الله عنه) ki Poti thi.
🌴 Hazrat Imam Ja’afar Sadiq ( رضى الله عنه ) Zazhir aur Baatini Uloom ke Jamea the Aur Riyazat wa Ibadat aur Mujaahide me Mashoor the. Imam Maalik (رضى الله عنه) ka bayan hai: “Main ek zamane tak aapki Khidmat e Mubarak me aata raha. Maine hamesha aap ko 3 ibadato me se kisi ek me mashruf paya. Ya to Aap Namaz padhte hue milte Ya Tilawat e Quraan me Mashgool hote Ya phir Rozedar hote.”
🌴 Aap (رضى الله عنه) ko 68 baras ki Umar me 15 Rajab-ul-Murajjab Hijri San 148 ko kisi Shakil Qalab (Sakht dil wala) ne Zahar diya jo aap (رضى الله عنه) ki Shahadat ka sabab bana.
🌴 Aap (رضى الله عنه) ka Mazar e Aqdas Jannatul Baqi (Madinatul Munawwara) Waalid e Muhtaram Hazrat Sayyidina Imam Muhammad Bakir ( رضى الله عنه) ke pahlu me hai.
📚 Reference: Sharah e Shajrah Sharif)
💓 Tamam AhlEBait ke chahne walo se Gujarish hai ki wo 15 Rajab Sharif ke din Hazrat Imam Ja’afar Sadiq ( رضى الله عنه ) ki bargah me Khiraj-e-Aqidat pesh karte hue unke Isaal e Sawab ki niyat se apne gharo me Faateha ka Intezam kare.. 💓