﷽
الله يارسول ﷺ* -الصــلوة والسلام عليك
Part 6: Aap ke Haalat e Zindagi:
Aap ne Maulana Ali Sher Bangali (رحمتہ اللہ علیہ) se faize haasil karne ke liye unki bargaah me haazir hue.
Aap behad Muta’sharah (Shariat ke paband), Muttaki aur Parhezgaar buzurg the.
Aabadi se zyada aap viraane ko pasand farmate the.
Bilkul sadaai se aap apni zindagi basar farmate the.
Sultan Ahmad Shah (رحمتہ اللہ علیہ) ne “Vatva Sharif” ko aap ke supurd kar diya tha jisse aap ke Akhrajaat (Gujara) hota tha. Aaj bhi aap ki aulaad e paak “Vatva Sharif” me maujood hai.
Patan se aane ke baad aapne sab se pehle Sabarmati nadi ke kinare “Asaval” (Jo aaj Asarva naam se famous hai) waha aapne apna qiyaam farmaya.
Aap ne Asaval me ek masjid bhi taamir karvayi jiske nakshe aaj bhi maujood hai.
Aage ki post me padhiye: “Iradat wa Khilafat”
Taalib e Dua: http://www.gulzar-e-aulia.com
Reference: Twarikh e Numaya