✨ أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ ✨
⚡️ بِسْــــــــــــــــــمِ اﷲِالرَّحْمَنِ اارَّحِيم ⚡️
👉 Is post me padhiye: “Seerat-un-Nabi padhne ka tariqa“
⚜️ Seerat e Mustafa (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ko jab bhi padhe to Aqeedat aur Tawajjo se padhe kyon ki ye Shahnshah e Darain au Mahbub e Rabbul Mashriqain wa Magribain ki Hayat e Tayyibah aur unki Seerat e Muqaddasa ka Zikr e Jameel hai jo Hamari Imani Aqidato ka Markaz aur Hamari Islami Zindagi ka Mahwar hai.
⚜️ Ye Mahbub e Khuda (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ki un Kaabil e Ehtiraam Adaaon ka Bayan hai jin par Qaainat e Aalam ki tamam Azmate Qurban hai, lihaza iske Muta’ale ke waqt aapko Adab o Ehtiraam ka paikar ban kar aur Taazim o Tauqir ke Jazbaat e Saadiqah se apne Qalb o Dimaag ko Munawwar kar ke is tasawwur ke sath iski ek ek sitar (line) ko padhna chahiye ki iska ek ek lafz mere liye Hasnaat wa Barkaat ka khazana hai aur goya main Huzur Rahmat-ul-Lil-Aa’lameen (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ke Muqaddas darbar me haazir hu aur aapki in pyari pyari Adaaon ko dekh raha hu Aur aap ke Faiz e Sohbat se Anwaar haasil kar raha hu.
⚜️ Hazrate Abu Ibrahim Tujeebi (Alayhirrahmah) ne Irsha farmaya ki: “Har Momin par Vaajib hai ki jab wo Rahmat e Aalam (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ka zikr kar ya uske saamne aapka Zikr kiya jaye to woh pur-sukun ho kar Niyaz-mandi wa Aaziji ka izhaar kare, aur apne Qalb me aapki Azmat aur Haibat wa Jalaal ka aisa hi Ta’ssur paida kare jaisa ki aap ke Rubaroo haazir hone ki surat me aap ke Jalaal wa Haibat se Muta’aasir hota”
⚜️ Aur Hazrate Allama Qazi Ayaz (Rahmatullahi Alahi) ne farmaya: “Huzur e Anwar (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ki wafaat e aqdas ke baad bhi har Ummati par aapki utni hi Taazim o Tauqir laazim hai jitni ki aap ki zaahiri hayat me thi.
📌 Chunanche, Khalifa e Baghdad Abu Ja’afar Mansoor Abbasi Jab Masjid e Nabavi me aa kar jor jor se bolne laga to Hazrat Imam Maalik (رضى الله عنه) ne usko ye kar kar daant diya ki ae Amirul Mua’mineen, “Yaha Buland Aawaz se Guftagu na kijiye Kyun ki Allah Ta’ala ne Quraan me APne Habeeb (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ke darbar ka ye Adab sikhaya ki, “Yaani Nabi ke darbar me Apni Aawazo ko Buland Na Karo”.
💝 Aur Aap (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ) ki Wafat e Aqdas ke baad bhi har Ummati par aapki Utni hi Ta’azeem Vaajib hai jitni ki aap ki Jaahiri Hayat me thi. Yeh Sun kar Khalifa Larza bar Andaam ho kar Narm Pad gaya.
“Mein Chup Khra Huva Hun Darbar-E-Mustafa Mein
Ankhon Se Bolta Hun Darbar-E-Mustafa Mein”
“Mera Wajood Jese Gum Ho K Reh Gya Ha
Khud Se Bicher Gya Hun Darbar-E-Mustafa Mein”
📚 Reference: Seerat e Mustafa (صَلَّىٰ ٱللَّٰهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ)
Taalib e Dua:http://www.gulzar-e-aulia.com 🕌
🎀 Team : Gulzar e Aulia 🎀
💕Is Post ko Sawab ki Niyyat se Dusro Tak Pahuchaye. Allah aap ko Jaza-e-Khair ata farmaye. 💕